Jahan Ara Tabassum

takti jhankti rahi aankhen

Jahan Ara Tabassum

Quetta, Balochistan, Pakistan

1970
tāktī jhāñktī rahī āñkheñ
jaane kyā khojtī rahī āñkheñ
hoñT āñkhoñ pe rakh diye us ne
aur phir boltī rahī āñkheñ
ḳhvāb āñkhoñ meñ so ga.e lekin
raat bhar jāgtī rahī āñkheñ
āñkhoñ āñkhoñ meñ kyā kahā us ne
der tak sochtī rahī āñkheñ
us kī gahrī sī jhiil āñkhoñ meñ
Doltī Dūbtī rahī āñkheñ
jaane kyā dekhne kī hasrat hai
jaane kyā dekhtī rahī āñkheñ
jhuuT par jhuuT boltī hī rahī
sach magar boltī rahī āñkheñ
duur tak dekhte rahe us ko
der tak bhīgtī rahī āñkheñ
vo ulajhte rahe 'tabassum' se
aur dukh jheltī rahī āñkheñ
Top Urdushayar.com