agarche sab se milegī tumhārī shahzādī
magar tumhārī rahegī tumhārī shahzādī
jo dekh loge zarā muskurā ke tum mujh ko
ġhazab ke sher kahegī tumhārī shahzādī
shab-e-visāl agar ho nasīb shahzāde
to ban ke phuul khilegī tumhārī shahzādī
tumhāre sāmne tum par jo sher kahtī hai
mushā.eron meñ paḌhegī tumhārī shahzādī
jo ro.o.ge to 'tabassum' bhī saath ro.egī
hañsāoge to hañsnegī tumhārī shahzādī