Jahan Ara Tabassum

ek lamha-e-visal se aage nikal gai

Jahan Ara Tabassum

Quetta, Balochistan, Pakistan

1970
ik lamha-e-visāl se aage nikal ga.ī
maiñ ḳhvāhishoñ ke jaal se aage nikal ga.ī
chehre pe us ke rañj ke āsār dekh kar
chup-chāp har savāl se aage nikal ga.ī
kuchh maiñ bhī nā-shanās thī is kār-e-ḳhair meñ
har rañj har malāl se aage nikal ga.ī
aise ġham-e-hayāt ne bāñhoñ meñ le liyā
maiñ apnī dekh-bhāl se aage nikal ga.ī
kuchh din tire visāl ne mad.hosh kar diyā
maiñ ḳhvāhish-e-ma.āl se aage nikal ga.ī
tū bhī mire vajūd se āzād ho gayā
maiñ bhī tire ḳhayāl se aage nikal ga.ī
Top Urdushayar.com