Jahan Ara Tabassum

dil mera luT gaya wo baDi tauqir ke sath

Jahan Ara Tabassum

Quetta, Balochistan, Pakistan

1970
dil mirā luuT gayā vo baḌī tauqīr ke saath
jo mujhe jiit na paayā kabhī shamshīr ke saath
koī kis tarah se badlegā muqaddar kā likhā
koī kis tarah se laḌ pā.egā taqdīr ke saath
dil kī nagrī se ka.ī ek musāfir guzre
koī Thahrā hī nahīñ hai dil-e-be-pīr ke saath
dard jab had se guzar jaa.e to kuchh baat bane
naam merā bhī kabhī aa.e taqī-'mīr' ke saath
maiñ use bhuul ke bhī yaad nahīñ aa saktī
jo mujhe bāñdh gayā dard kī zanjīr ke saath
maiñ ne minnat se aur minnat se tumheñ māñgā hai
tum jo mil sakte the mujh ko kisī tadbīr ke saath
ye hī alfāz mirī shaan haiñ sarmāya haiñ
kuchh taqābul nahīñ in kā kisī jāgīr ke saath
kaaT kar aaj ke aḳhbār ko ta.avīz kiyā
terī tasvīr chhapī hai tirī tahrīr ke saath
tujh ko rāñjhā se kabhī bhī koī nisbat na rahī
har fasāne meñ mirā zikr chalā hiir ke saath
aap pahlū se yuuñ chup-chāp lage baiThe haiñ
jaise tasvīr lagā de koī tasvīr ke saath
daad miltī hai 'tabassum' tujhe yuuñ der ke baa'd
tere ash.ār samajh aate haiñ tāḳhīr ke saath
Top Urdushayar.com