ye zamīñ hī mirī chaTā.ī hai
aur ye āsmāñ razā.ī hai
zindagī mat qarīb kar us ke
moḌ par hī khaḌī judā.ī hai
tum badalte bajā magar kaise
dastaras hī mirī burā.ī hai
saañs bāzārī hotī hai phir bhī
kitnī lambī dukāñ jamā.ī hai
zulm par kyā zabān kho leñge
shahr ye aaj be-navā.ī hai
maz.haboñ kā naqāb oḌhe phir
aag tū ne kahāñ lagā.ī hai
baaqī sab to faqīr jaisā hai
chand ġhazleñ mirī kamā.ī hai
daur thā ḳhāksār kahne kā
ab yahāñ bazm-e-ḳhud-numā.ī hai