Harbans Tasawwur

tere husn ki KHair bana de ek din ka sultan mujhe

Harbans Tasawwur

Hasan Abdal, Punjab, Pakistan

1938
tere husn kī ḳhair banā de ik din kā sultān mujhe
āñkhoñ ko bas dekhne de aur hoñToñ se pahchān mujhe
vasl meñ us ke mar jaane kī hasrat mere dil meñ hai
aur bichhaḌ kar jiine kā bhī baaqī hai armān mujhe
ḳhuun ragoñ meñ ruk jā.egā lekin saañs na ukhḌegī
kis ko bhuul ke ḳhush baiThā huuñ jab aa.egā dhyān mujhe
maiñ huuñ ek aur biis sadī kā merī maañg malañgoñ sī
har ik pal kī ḳhabar bhī de aur barsoñ kā sāmān mujhe
kaise phuul aur kaun se kāñTe yaad kī jholī ḳhālī hai
ab to 'tasavvur' lagne lagā hai vīrāna vīrān mujhe
Top Urdushayar.com