Siraj Aurangabadi

teri bhanwon ki tegh ke jo ru-ba-ru hua

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
terī bhañvoñ kī teġh ke jo rū-ba-rū huā
sab āshiqoñ kī saf meñ vo hī surḳh-rū huā
tujh zulf ke ḳhayāl siiñ kyūñkar nikal sakūñ
har pech-o-ḳham namūna-e-tauq-e-gulū huā
tere nigah kā tiir hai az-bas-ke mūshigāf
mamnūñ har ek zaḳhm siiñ maiñ hū-ba-hū huā
rishte siiñ mauj-e-gul kī havā-e-bahār meñ
sab bulbuloñ kā chāk-garebāñ rafū huā
sūraj kā rañg chāñd sirī kā huā safed
jis sub.h kuuñ savār vo ḳhurshīd-rū huā
jis kī zabāñ meñ ishq ke afsūñ kā hai asar
har harf us kā mauj-e-parī hū-ba-hū huā
barjā hai gar kahūñ maiñ use shīsha ātishī
chashm-e-'sirāj' ā.īna-sho.ala-rū huā
Top Urdushayar.com