Nasir Jaunpuri

zaKHm-e-dil ko tasalliyan de do

Nasir Jaunpuri

zaḳhm-e-dil ko tasalliyāñ de do
mere phūloñ ko titliyāñ de do
sach ko tum qatl kar na pāoge
chāhe jitnī gavāhiyāñ de do
chāñd taare shafaq dhanak ākāsh
in darīchoñ ko kunjiyāñ de do
ġhazleñ be-kaif ho rahī haiñ mirī
apne hoñToñ kī surḳhiyāñ de do
kyā karoge nishāniyāñ rakh kar
in havāoñ ko chhuTTiyāñ de do
hichkiyāñ raat dard tanhā.ī
aa bhī jaao tasalliyāñ de do
zulf bhī hai tumhārā 'nāsir' bhī
jo na hal hoñ paheliyāñ de do
Top Urdushayar.com