Sahiba Sheheryar

nind in aankhon mein ban kar aae koi

Sahiba Sheheryar

niiñd in āñkhoñ meñ ban kar aa.e koī
lorī maañ kī mujhe sunā jaa.e koī
duur yahāñ se jā kar sab kuchh bhuul ga.e
ham zinda haiñ un ko batlā.e koī
roz-e-azal se ham the akele duniyā meñ
kahāñ se aur kaise ab saath aa.e koī
sach ko maiñ sach maan luuñ ab ye behtar hai
mujh ko qaa.il kaise kar paa.e koī
aisī kahānī kabhī nahīñ jo guzrī ho
vahī kahānī mujhe sunā jaa.e koī
dard ko sahnā bhī aadat meñ shāmil hai
dard kī kitnī had hai samjhā.e koī
ab kuchh hī lamhoñ kā safar ye baaqī hai
'sāhiba' bojh kahāñ tak sah paa.e koī
Top Urdushayar.com