Siraj Aurangabadi

kya bala ka hai nasha ishq ke paimane mein

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
kyā balā kā hai nasha ishq ke paimāne meñ
koī hoshiyār nahīñ aql ke kāshāne meñ
Duub jaatā hai mirā jī jo kahūñ qissa-e-dard
niiñd aatī hai mujhī kuuñ mire afsāne meñ
dil mirā zulf kī zanjīr siiñ hai baazī meñ
apne is kaam kā kyā hosh hai dīvāne meñ
kyā maze kā hai tire seb-e-zanaḳhdāñ kā ḳhaal
lazzat-e-meva-e-firdaus hai is daane meñ
is adab-gāh kuuñ tuuñ masjid jāma.a mat bojh
shaiḳh be-bāk na jā gosha-e-mai-ḳhāne meñ
aañkh uThāte hī mire haath siiñ mujh kuuñ le ga.e
ḳhuub ustād ho tum jaan ke le jaane meñ
ḳhush huuñ maiñ sohbat-e-majnūñ siiñ na liyo aql kā naam
āshnā.ī kī kahāñ baas hai begāne meñ
sho.ala hai āb-e-hayāt-e-dil-e-mushtāq 'sirāj'
is samundar siiñ baḌā farq hai parvāne meñ
Top Urdushayar.com