thapkiyāñ de ke tire ġham ko sulāyā ham ne
kyā kaheñ kis tarah ye bojh uThāyā ham ne
shaam paḌte hī diyā kaun jalātā hai yahāñ
is havelī meñ na insāñ koī paayā ham ne
yuuñ to har zarre se pūchhā tire jaane kā sabab
raaz gahrā thā kisī ko na batāyā ham ne
vo ajab shaḳhs thā har dar pe jhukātā thā jabīñ
chaah kar bhī to nahīñ us ko bhulāyā ham ne