band āñkheñ karūñ aur ḳhvāb tumhāre dekhūñ
taptī garmī meñ bhī vaadī ke nazāre dekhūñ
os se bhīgī huī subah ko chhū luuñ jab maiñ
apnī palkoñ pe maiñ ashkoñ ke sitāre dekhūñ
ab to har gaam pe sahrā-o-bayābāñ meñ bhī
apnī vaadī ke hī sadqe meñ nazāre dekhūñ
maiñ kahīñ bhī rahūñ jannat to mirī vaadī hai
chāñd tāroñ ke paḌe us pe meñ saa.e dekhūñ
mujh ko chhū jaatī hai aa kar jo kabhī subah tirī
har taraf phūloñ ke dilchasp nazāre dekhūñ