havā ne siine meñ ḳhanjar chhupā ke rakkhā hai
ye dekhnā hai ki ab vaar kis pe kartā hai
ḳhabar ye aam hai phir bhī ye kaisā parda hai
ki TuuTā aa.ina us ne sambhāl rakkhā hai
zabāñ bhī chup hai fazā par hai ḳhāmushī taarī
hai kis kā ḳhauf tujhe kyuuñ kisī se Dartā hai
tumhāre paañv ke nīche kahīñ zamīñ hī nahīñ
safar kā kar ke tū kaise irāda baiThā hai
huī hai shaam darīchoñ pe chāñd chamke hai
hai kis kā saaya jo shab bhar sisaktā rahtā hai
kahāñ kahāñ na parindoñ ne pañkh phailā.e
magar ye kyā ki kisī shāḳh par Thikānā hai