Siraj Aurangabadi

hijr ki aag mein azab mein na de

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
hijr kī aag meñ azaab meñ na de
misl-e-sīmāb iztirāb na de
sandalī husn hai tirā darkār
dard-e-sar kuuñ mire gulāb na de
bas tirā daur-e-chashm ai saaqī
hosh khone mujhe sharāb na de
zāhid-e-ḳhushk kuuñ sharāb na de
aag de ḳhār-o-ḳhas ko aab na de
apne māroñ ko mat pareshāñ kar
zulf-e-mushkīñ kuuñ pech-o-tāb na de
āshiqoñ kuuñ hai lazzat-e-dushnām
har kamīne kuuñ ye ḳhitāb na de
kis ne ai bahr-e-husn tujh kuuñ kahā
ki kisī tishna-lab kuuñ aab na de
kaam jāhil kā hai suḳhan-chīnī
ai 'sirāj' us kuuñ tū javāb na de
Top Urdushayar.com