muddat se DhūñDtī hai kisī kī nazar mujhe
maiñ kis maqām par huuñ nahīñ hai ḳhabar mujhe
āvārgī uḌaa.e phirī misl-e-bū-e-gul
koī pukārtā hī rahā umr bhar mujhe
yuuñ jā rahā huuñ jaise na ā.ūñgā phir kabhī
muḌ muḌ ke dekhtī hai tirī rahguzar mujhe
kyā jaane kis ḳhayāl se chehra damak uThā
maiñ chāra-gar ko dekhtā huuñ chāra-gar mujhe
ahd-e-ḳhizāñ bahār kī rut naam haiñ faqat
kyā baat kah ga.ī hai nasīm-e-sahar mujhe
manzil pe aa ke 'shād' ajab hādisa huā
maiñ ham-safar ko bhuul gayā ham-safar mujhe