koī saaya na shajar yaad aayā
thak ga.e paañv to ghar yaad aayā
khil uThe phuul se sahrāoñ meñ
phir vo firdaus-e-nazar yaad aayā
phir mire paañv meñ zanjīr paḌī
phir tirā hukm-e-safar yaad aayā
lauT jaane ko bahut dil machlā
kyā pas-e-gard-e-safar yaad aayā
saarī ummīdoñ ne dam toḌ diyā
naḳhl-e-be-barg-o-samar yaad aayā
laakh chāhā thā ki vo chashm-e-ġhazāl
phir na yaad aa.e magar yaad aayā
ḳhvāb aur ālam-e-bedārī meñ
ret par ret kā ghar yaad aayā
marsiya din kā likhā thā 'rāshid'
shab ko unvān-e-sahar yaad aayā