ye vahm hai merā ki haqīqat meñ milā hai
ḳhurshīd mujhe vādi-e-zulmat meñ milā hai
shāmil mirī tahzīb meñ hai haq kī himāyat
andāz-e-baġhāvat kā virāsat meñ milā hai
tā-umr rifāqat kī qasam khaa.ī thī jis ne
bichhḌā hai to phir mujh ko qayāmat meñ milā hai
rukte hī qadam paañv pakaḌ leñ na masā.il
har shaḳhs isī ḳhauf se ujlat meñ milā hai
kuchh aur Thahar jaao sar-e-kū-e-tamannā
ye hukm mujhe lamha-e-hijrat meñ milā hai
ādāb kiyā jaa.e kise kitne adab se
ye fan mujhe barsoñ kī riyāzat meñ milā hai
sayyād ne lagtā hai ki fitrat hī badal dī
har phuul mujhe ḳhaar kī sūrat meñ milā hai