Rashid Hamidi

aankh khuli to mujhko ye idrak hua

Rashid Hamidi

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1960
aañkh khulī to mujh ko ye idrāk huā
ḳhvāb-nagar kā har manzar saffāk huā
jism o jaan kā saarā qissa paak huā
ḳhākī thā maiñ ḳhaak meñ mil kar ḳhaak huā
mujh par shak karne se pahle dekh to le
merā dāman kis jānib se chaak huā
ek hī pal meñ jā pahuñchā duniyā se paar
Dūbne vaalā sab se baḌā tairāk huā
TukḌoñ TukḌoñ baañT rahā hai chehre ko
TuuT ke shīsha aur bhī kuchh be-bāk huā
raat ko maiñ ne din karne kī Thānī hai
merī zid par sūraj bhī namnāk huā
kaisī mohabbat kaisā ta.alluq Dhoñg hai sab
maañ ke alāva har rishta nāpāk huā
din meñ nikalnā chhoḌ diyā us ne bhī
aaj kā jugnū bachchoñ se chālāk huā
Top Urdushayar.com