maa.il huuñ gul-badan kā mujhe gul siiñ kyā ġharaz
kākul meñ us ke band huuñ sumbul siiñ kyā ġharaz
ḳhūnīñ diloñ ke qatl kuuñ sīdhī nigāh bas
is teġh kuuñ fasān-e-taġhāful siiñ kyā ġharaz
rusvā.ī-e-jahāñ siiñ mujhe fikr kuchh nahīñ
dīvāna-e-junūñ kuuñ ta.ammul siiñ kyā ġharaz
bas hai ġhubār-e-rāh-e-libās-e-shahanshahī
sultān-e-be-ḳhudī kuuñ tajammul siiñ kyā ġharaz
jaam mai-e-alast siiñ be-ḳhud huuñ ai 'sirāj'
daur-e-sharāb-o-shīsha-e-pur-mul siiñ kyā ġharaz