phūloñ se bahāroñ meñ judā the to hamīñ the
kāñToñ kī chubhan pe bhī fidā the to hamīñ the
bāzār-e-tamannā meñ to har shaḳhs magan thā
har moḌ pe duniyā se ḳhafā the to hamīñ the
jis but ko tasavvur meñ ḳhudā maan liyā thā
us but kī nigāhoñ meñ ḳhudā the to hamīñ the
ahbāb ko hālāt kī sāzish kā gilā thā
har haal meñ rāzī-ba-razā the to hamīñ the
girtī huī dīvār kā saaya thā tirā saath
phir bhī tirī bāhoñ se judā the to hamīñ the
ā.īna-e-ayyām kī rañgīn fazā meñ
ai 'rāz' giraftār-e-balā the to hamīñ the