Athar Raz

gham ke baadal dil-e-nashad pe aise chhae

Athar Raz

Aligarh, Uttar pradesh, India

1935
ġham ke bādal dil-e-nāshād pe aise chhā.e
sāya-e-gul meñ bhī hamrāz na hañsne paa.e
yuuñ tasavvur meñ dabe paañv tirī yaad aa.ī
jis tarah shaam kī bāñhoñ meñ sitāre aa.e
vaqt kī dhuup meñ ham sāya-e-hasrat ban kar
do ghaḌī kū-e-tamannā meñ na chalne paa.e
zindagī mauj-e-talātum kī tarah ruk na sakī
yuuñ to har moḌ pe tūfān hazāroñ aa.e
is se manzil kā pata pūchh rahī hai duniyā
jis kā manzil ke tasavvur se bhī jī ghabrā.e
'rāz' ehsās ke āñgan meñ hoñ tanhā tanhā
ghup añdherā hai magar saath haiñ ġham ke saa.e
Top Urdushayar.com