mohabbat meñ vafāoñ kā yahī in.aam hai 'sūfī'
liye dāġh-e-judā.ī hasrat-e-nākām hai 'sūfī'
agar ilzām hai koī to ye ilzām hai 'sūfī'
ki tū apnī sharāfat ke liye badnām hai 'sūfī'
hamīñ har daur meñ the gardish-e-ayyām ke maare
magar ham se ilāj-e-gardish-e-ayyām hai 'sūfī'
ba-faiz-e-rasm-e-mai-ḳhāna badalte hī rahe saaqī
jo bin māñge pilā.e sāqī-e-gulfām hai 'sūfī'
kashākash-hā-e-hastī ne jise dīvāngī baḳhshī
vo dīvāna harīf-e-talḳhī-e-ayyām hai 'sūfī'
tire gītoñ kī jhankāroñ se duniyā guuñj to uTThī
magar kāshī kī nagrī meñ baḌā gumnām hai 'sūfī'