Saghir Ahmad Sufi

kaam aai ishq ki diwangi kal raat ko

Saghir Ahmad Sufi

Banaras, Uttar pradesh, India

1923
kaam aa.ī ishq kī dīvāngī kal raat ko
husn ne baḳhshī matā-e-dostī kal raat ko
qāmat-e-dilkash libās-e-surḳh meñ thī mehmāñ
mere ghar ik surḳh maḳhmal kī parī kal raat ko
tamtamā.e gaal bhīge hoñT chashm-e-nīm-vā
thī mujassam jaise merī shā.irī kal raat ko
vo mire shāna-ba-shāna sahn meñ mahv-e-ḳhirām
chāñd ke pahlū meñ jaise chāñdnī kal raat ko
narm bāñhoñ se mire shānoñ se kuchh sāzish huī
paḌ ga.ī gardan meñ motī kī laḌī kal raat ko
shab ke sannāTe meñ paimān-e-vafā bāñdhe ga.e
kuchh na.e va.adoñ ne kī jādūgarī kal raat ko
har ghaḌī 'sūfī' nashāt-añgez lamhoñ meñ kaTī
zindagī thī dar-haqīqat zindagī kal raat ko
Top Urdushayar.com