Shaista Mufti

aaina dekha to surat apni pahchani gai

Shaista Mufti

Pakistan

1968
aa.ina dekhā to sūrat apnī pahchānī ga.ī
bhuul hī baiThe the ḳhud ko umr arzānī ga.ī
jānte haiñ is talātum-ḳhez dariyā kī adā
ik hamārā naam sun kar mauj-e-sailānī ga.ī
ik charāġh-e-dil bachā thā aur sannāTe kī shab
zau-fishāñ tāroñ kī maddham ḳhvāb-afshānī ga.ī
kaun hai jo jī sakegā mo.ajizoñ se sānehe
us nigāh-e-shauq kī ham par mehrbānī ga.ī
aaj shāyad Duub kar us ne kiyā hai ham ko yaad
is havā-e-sard kī rañgīn nādānī ga.ī
kis qadar tanhā hai dil is ajnabī sī raah par
bāġhbāñ kī jo navāzish thī nigahbānī ga.ī
ab mujhe is dil ke luTne kā nahīñ koī malāl
vaa.e shauq-e-dil salāmat ho pashemānī ga.ī
jāniye kyā kyā dukhoñ ne gher kar rusvā kiyā
chashm-e-tar meñ Dūbte tāroñ kī hairānī ga.ī
Top Urdushayar.com