Shaista Mufti

KHak se uThna KHak mein sona KHak ko banda bhul gaya

Shaista Mufti

Pakistan

1968
ḳhaak se uThnā ḳhaak meñ sonā ḳhaak ko banda bhuul gayā
duniyā ke dastūr nirāle aap se rishta bhuul gayā
jañgal jañgal jog meñ tere phirte haiñ ik rog liye
tire milan kī aas jagī hai dasht kā rasta bhuul gayā
ek mohabbat raas hai dil ko ek vafā anmol sanam
bhes faqīroñ vaalā bhar ke zaat kā sahrā bhuul gayā
ḳhvāb meñ jab se dekhā us ko chain nahīñ hai āñkhoñ meñ
saarī raat musalsal kaaTī ḳhvāb kā rasta bhuul gayā
shaam Dhale ik pahlā taarā ham se milne aayā thā
duur bides meñ rahne vaalā apnā parāyā bhuul gayā
har dhaḌkan se pyaar kā amrit har ik lafz meñ utrā thā
saarī umr jo likkhā dil ne vahī vazīfa bhuul gayā
maalā japte japte guzrī umr kisī sanyāsī kī
manzil paas jo aa pahuñchī to ishq sahīfa bhuul gayā
Top Urdushayar.com