ajnabī shahr meñ ulfat kī nazar ko tarse
shaam Dhal jaa.e to rah-gīr bhī ghar ko tarse
ḳhālī jholī liye phirtā hai jo aivānoñ meñ
merā shaffāf hunar arz-e-hunar ko tarse
jis jagah ham ne jalā.e the vafāoñ ke diye
phir usī gaah pe dildār nazar ko tarse
merī be-ḳhvāb nigāheñ haiñ samundar shab hai
vaqt tham tham ke jo guzre hai sahar ko tarse
jaane ham kis se muḳhātab haiñ bharī mahfil meñ
baat dil meñ jo na utre hai asar ko tarse
kitne mausam haiñ ki chup-chāp guzar jaate haiñ
tere aane kā dilāsa hai ḳhabar ko tarse
shabnamī raakh bichhī hai mire armānoñ kī
naqsh-e-pā tere kisī ḳhāk-basar ko tarse