Siraj Aurangabadi

apna jamal mujh kun dikhaya rasul aaj

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
apnā jamāl mujh kuuñ dikhāyā rasūl aaj
aajiz kī iltimās kuuñ karnā qubūl aaj
ai mehrbāñ tabīb shitābī ilaaj kar
tere birah ke dard siiñ hai dil meñ suul aaj
marham tire visāl kā lāzim hai ai sanam
dil meñ lagī hai hijr kī barchhī kī huul aaj
gul-rū baġhair ḳhāna-e-bulbul ḳharāb hai
murjhā rahā hai sehn-e-gulistāñ meñ phuul aaj
be-fikr huuñ azāb-e-qayāmat siiñ ai 'sirāj'
dīn-e-mohammadī kuuñ kyā huuñ qubūl aaj
Top Urdushayar.com