umr guzrī isī maidān ko sar karne meñ
jo makāñ ham ko milā thā use ghar karne meñ
ishq āsān kahāñ umr guzar jaatī hai
apnī jānib kisī ġhāfil kī nazar karne meñ
āzmā.ish se to be-chārī ġhazal bhī guzrī
ik shahanshāh bahādur ko zafar karne meñ
sub.h ke ba.ad bhī kuchh logoñ kī nīndeñ na khulīñ
aur ham TuuT ga.e shab ko sahar karne meñ
laakh dushvār ho dil ko to sukūñ miltā hai
zindagī apne tarīqe se basar karne meñ
rañg lā.eñgī tamannā.eñ zarā sabr karo
vaqt lagtā hai duāoñ ko asar karne meñ