Mujahid Faraaz

silsila lafzon ki saughat ka bhi TuT gaya

Mujahid Faraaz

Moradabad, Uttar pradesh, India

1962
silsila lafzoñ kī sauġhāt kā bhī TuuT gayā
rābta ḳhat se mulāqāt kā bhī TuuT gayā
maañ kī āġhosh meñ ulfat kī ravānī pā kar
bāñdh Thahre hue jazbāt kā bhī TuuT gayā
ehtirām apne buzurgoñ kā adab chhoToñ kā
ab chalan aisī rivāyāt kā bhī TuuT gayā
raat ke māthe pe sūraj ne sahar likh dī hai
aasrā us se mulāqāt kā bhī TuuT gayā
aa gayā kaise vo ab apnī anā se bāhar
kyā hisār aaj mirī zaat kā bhī TuuT gayā
aaj aḳhbār kī ḳhabreñ bhī haiñ mashkūk 'farāz'
aa.ina sūrat-e-hālāt kā bhī TuuT gayā
Top Urdushayar.com