Siraj Aurangabadi

ishq ki jo lagan nahin dekha

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
ishq kī jo lagan nahīñ dekhā
vo birah kī agan nahīñ dekhā
qadr muj ashk kī vo kyā jaane
jis ne durr-e-adan nahīñ dekhā
tuj galī meñ jo kuī kiyā maskan
phir kar us ne vatan nahīñ dekhā
aarzū hai ki zulf kuuñ khole
maiñ ne kaalī rayan nahīñ dekhā
lab-e-rañgīñ dikhā ai ma.adan-e-husn
maiñ aqīq-e-yaman nahīñ dekhā
Tuk zamīñ par qadam rakho sājan
aaj naqsh-e-charan nahīñ dekhā
dil abas tishna-lab hai kausar kā
piv kā chāh-e-zaqan nahīñ dekhā
ġhuncha-e-gul kuuñ dekh gulshan meñ
gar tuuñ piv kā dahan nahīñ dekhā
tujh masal ai 'sirāj' bād-e-'valī'
koī sāhab-suḳhan nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com