Mujahid Faraaz

badan ki qaid se bahar Thikana chahta hai

Mujahid Faraaz

Moradabad, Uttar pradesh, India

1962
badan kī qaid se bāhar Thikānā chāhtā hai
ajiib dil hai kahīñ aur jaanā chāhtā hai
abhī dikhāo na tasvīr-e-zindagī is ko
ye bachpanā hai abhī muskurānā chāhtā hai
har ek rut nahīñ bhātī hamārī āñkhoñ ko
hamārā ḳhvāb bhī mausam suhānā chāhtā hai
ghuTan ho dil meñ to phir shā.erī nahīñ hotī
ġhazal kā sher fazā shā.irāna chāhtā hai
tire baġhair bhī zinda huuñ dekh le ai dost
ab aur kyā tū mujhe āzmānā chāhtā hai
maiñ in amīroñ kī āñkhoñ meñ yuuñ khaTaktā huuñ
ki mujh ġharīb ko saarā zamāna chāhtā hai
maiñ jaañ nisār karūñ us pe chāhtā huuñ magar
vo āsmāñ se sitāre mañgānā chāhtā hai
in āñdhiyoñ ko yahī ḳhauf khaa.e jaatā hai
'farāz' phir se diyā ik jalānā chāhtā hai
Top Urdushayar.com