vo āzmā.eñ mujhe un ko āzmā.ūñ maiñ
phir āñdhiyoñ ke liye ik diyā jalā.ūñ maiñ
phir apnī yaad kī purvā.iyāñ bhī qaid kare
vo chāhtā hai agar us ko bhuul jā.ūñ maiñ
udaas āñkhoñ ko sauġhāt de ke ashkoñ kī
ye us ne ḳhuub kahā hai ki muskurā.ūñ maiñ
miyāñ ye ziist kī sachchā.iyoñ ke qisse haiñ
koī fasāna nahīñ hai jise sunā.ūñ maiñ
fasād, qatl, ta.assub, fareb, makkārī
safed-poshoñ kī bāteñ haiñ kyā batā.ūñ maiñ
isī ko kahte haiñ me.arāj kyā mohabbat kī
vo yaad aa.e to phir ḳhud ko bhuul jā.ūñ maiñ
jamāl-e-yār pe ġhazleñ to ho chukī haiñ bahut
ye sochtā huuñ use ā.īna dikhā.ūñ maiñ