mashaqqat kī tapish meñ jism kā lohā galāte haiñ
baḌī mushkil se is miTTī ko ham sonā banāte haiñ
taraste haiñ kahīñ kuchh log roTī ke nivāloñ ko
kahīñ har shaam shahzāde sharāboñ meñ nahāte haiñ
kabhī sūkhe hue peḌoñ kā vo mātam nahīñ karte
hoñ jin ke zehn ta.amīrī na.e paude lagāte haiñ
ḳhudāyā rahm in ma.asūm bachchoñ ke laḌakpan par
jinheñ kāġhaz siyah karne the vo kāġhaz uThāte haiñ
bahut aañsū rulā.e haiñ hameñ taqsīm-e-gulshan ne
muhājir vo samajhte haiñ to ye bāġhī batāte haiñ
maiñ apne zarf se baḌh kar agar kuchh maañg letā huuñ
to phir ehsās ke sho.ale sukūñ merā jalāte haiñ
musībat koī aa jaa.e kisī par is zamāne meñ
to phir kyā ġhair kyā apne sabhī dāman bachāte haiñ