da.ave bulandiyoñ ke kareñ kis zabāñ se ham
ḳhud aa ga.e zamīn pe jab āsmāñ se ham
ham ko bhī maslahat ne siyāsī banā diyā
pahle kahāñ mukarte the apnī zabāñ se ham
donoñ qadam baḌhā.eñ miTāne ko nafrateñ
āġhāz tum vahāñ se karo aur yahāñ se ham
raste kī har nigāh tujhe pūchhtī milī
guzre tire baġhair jidhar se jahāñ se ham
ham dhuup ke bajā.e ghanī chhāñv se jale
thā ḳhauf rahzanoñ kā luTe pāsbāñ se ham
paḌhnā jise fuzūl samajhtī hai nasl-e-nau
mash.hūr ho ga.e isī urdu zabāñ se ham
tab dushmanoñ ke baab meñ socheñ 'farāz' ham
fursat zarā jo paa.eñ ġham-e-dostāñ se ham