tilism-e-ātish-e-ġham āzmāne vaalā ho
charāġh koī tah-e-dil jalāne vaalā ho
ham aa ga.e haiñ jise dekhne ko mahfil meñ
ajab nahīñ vahī āñkheñ churāne vaalā ho
bahut se log safar meñ ikaTThe ho jaa.eñ
koī qarīb koī duur jaane vaalā ho
maiñ dekhtā huuñ sar-e-shām āsmān ko yuuñ
ki jaise duur ufuq se tū aane vaalā ho
ye kyā ki māñjhiyoñ par ek hī sī kaifiyyat
koī to naav kināre pe laane vaalā ho