dasht meñ phuul khilā rakkhā hai
ham ne dil dil se milā rakkhā hai
terī ḳhātir tujhe ma.alūm kahāñ
ham ne kis kis ko bhulā rakkhā hai
bas tirā zikr na.ī fikr ke saath
hijr meñ aur to kyā rakkhā hai
kyā ḳhabar aaj hī kar Dāleñ ham
kaam jo kal pe uThā rakkhā hai
is ne rakkhā hai sukūñ nekī meñ
aur gunāhoñ meñ mazā rakkhā hai
ā.īna dekh rahe ho yā phir
ḳhud ko tasvīr banā rakkhā hai
bair us ko hī charāġhoñ se huā
naam jis ne bhī havā rakkhā hai
faqat apnī na rahī fikr 'jamīl'
ham ne terā bhī patā rakkhā hai