Hasan Jameel

nazar mein manzar-e-rafta sama bhi sakta hai

Hasan Jameel

nazar meñ manzar-e-rafta samā bhī saktā hai
koī bhulāyā huā yaad aa bhī saktā hai
maiñ us se ruuTh gayā huuñ magar ye haq hai use
manānā chāhe to mujh ko manā bhī saktā hai
maiñ us ke rahm-o-karam par huuñ ek muddat se
jalā bhī saktā hai mujh ko bujhā bhī saktā hai
ye iḳhtiyār use de diyā gayā hai ki vo
hinsā bhī saktā hai mujh ko rulā bhī saktā hai
'hasn-jamīl' banāyā thā is ne dil se mujhe
kisī bhī vaqt magar vo miTā bhī saktā hai
Top Urdushayar.com