Anwar Anjum

hua kare agar usko koi gila hoga

Anwar Anjum

Delhi, India

1942-1967
huā kare agar us ko koī gila hogā
zabāñ khulī hai to phir kuchh to faisla hogā
kabhī kabhī to ye dil meñ savāl uThtā hai
ki is judā.ī meñ kyā us ne pā liyā hogā
vo garm garm nafas kaise Thahrte hoñge
ab in shaboñ ko vo kaise guzārtā hogā
kabhī jo guzrūñ tire shahr se to sochtā huuñ
ki is zamīn pe kyā kyā qadam paḌā hogā
ḳhushā vo raunaq-e-hañgāma-e-visāl ab to
yaqīn hī nahīñ aatā ki yuuñ huā hogā
vo khoī khoī vafāoñ kā bhūlā-bisrā giit
kabhī to us ke shabistāñ meñ bhī gayā hogā
nikal paḌe the yūñhī ham to ek din ghar se
kise ḳhabar thī ki yuuñ tum se sāmnā hogā
kabhī uThe hī nahīñ ham talāsh ko varna
koī to shahr meñ apnā bhī āshnā hogā
ye haul-nāk ḳhamoshī judā.ī kā āshob
maiñ sochtā huuñ ki yūñhī rahā to kyā hogā
kis aarzū meñ uThe kis taraf chale 'anjum'
is aadhī raat meñ ab kis kā dar khulā hogā
Top Urdushayar.com