Anwar Anjum

wo but bina nigah jamae khaDa raha

Anwar Anjum

Delhi, India

1942-1967
vo but binā nigāh jamā.e khaḌā rahā
maiñ aañkh band kar ke use pūjtā rahā
ḳhush-fahmiyoñ kā aaj bharam khul gayā to kyā
ik moḌ par to us kā mirā sāmnā rahā
tum ko to ek umr huī hai judā hue
hairāñ huuñ rāt-bhar maiñ kise DhūñDhtā rahā
ik ik darīcha band thā phir bhī ye Dar rahā
chhup-chhup ke jaise koī hameñ jhāñktā rahā
us kī nigāh fitna-adā to bahāna thī
ḳhud merā dil bhī merā lahū chūstā rahā
'anjum' kise ḳhabar ki koī mahv-e-intizār
kal jaltī dopahar meñ akelā khaḌā rahā
Top Urdushayar.com