Anwar Anjum

jab se paDi hai un se mulaqat ki tarah

Anwar Anjum

Delhi, India

1942-1967
jab se paḌī hai un se mulāqāt kī tarah
aatī nahīñ giraft meñ hālāt kī tarah
aayā jo likhte likhte tire qurb kā ḳhayāl
ḳhat bhī ulajh gayā hai mirī baat kī tarah
tanhā.ī meñ milo to tumheñ dil ke ās-pās
dikhlā.eñ ek shahr-e-tilismāt kī tarah
yūñhī jo bāñdhte rahe tamhīd aaj bhī
ye shab bhī biit jā.egī kal raat kī tarah
'anvār' yuuñ to dil bhī hai ik anjuman magar
aaseb meñ ghirī huī bārāt kī tarah
Top Urdushayar.com