Anwar Anjum

kab lazzaton ne zehan ka pichha nahin kiya

Anwar Anjum

Delhi, India

1942-1967
kab lazzatoñ ne zehan kā pīchhā nahīñ kiyā
ye merā hausla thā ki lab vā nahīñ kiyā
tajdīd-e-irtibāt bhī mumkin thī ba.ad meñ
maiñ ne hī is ravish ko gavārā nahīñ kiyā
pahle to ik junūn sā arz-e-talab kā thā
jab vo milā to dal ne taqāzā nahīñ kiyā
sūraj rahā jo din meñ mire ghar se duur duur
phir maiñ ne raat meñ bhī ujālā nahīñ kiyā
kyā vahm thā ki khilte hī lab band ho ga.e
kyā baat thī ki lafz bhī puurā nahīñ kiyā
jab merā ishtiyāq huā zabt-āzmā
phir us ne apne aap hī pardā nahīñ kiyā
maiñ sāda-lauh sāda-bayāñ sāda-ārzū
aur us ne sādgī pe bharosā nahīñ kiyā
maiñ ne bhī chalte chalte kiyā thā yūñhī savāl
kyā ho gayā jo aap ne puurā nahīñ kiyā
vo kam-nigāh thā magar us se churā ke aañkh
maiñ ne bhī apne saath kuchh achchhā nahīñ kiyā
amrit samajh ke pī liyā 'anjum' ne zahr-e-ġham
lekin tumhāre naam ko rusvā nahīñ kiyā
Top Urdushayar.com