Anwar Anjum

meri basti mein jo suraj kabhi utra hota

Anwar Anjum

Delhi, India

1942-1967
merī bastī meñ jo sūraj kabhī utrā hotā
maiñ badan hotā tirā to mirā saaya hotā
kis kī be-mehr adā se hameñ shikva hotā
ham kisī ke na hue kaun hamārā hotā
jaan par khel ke maiñ rāh-e-vafā tai kartā
us kī jānib se magar kuchh to ishāra hotā
dil kā ehsān hai jo bujh gayā ḳhud hī varna
jaane maiñ kis ko kahāñ DhūñDne niklā hotā
us ko paane kī to hasrat hai use pā kar bhī
kis ko ma.alūm hai dil yuuñ hī akelā hotā
duur se khīñchtā rahtā hai jo tasvīr mirī
kaash us ne kabhī nazdīk se dekhā hotā
sun ke yāroñ ke alam sochtā rahtā huuñ ki maiñ
kaise jiitā jo tirā pyaar bhī jhūTā hotā
mere aiboñ meñ hai shāmil mirī majbūrī bhī
maiñ bhī insān na hotā to farishta hotā
tum na aa.e kabhī nazdīk to achchhā hī kyā
log nādāñ haiñ yūñhī shahr meñ charchā hotā
duniyā-dārī meñ paḌe hote jo tum bhī 'anjum'
dil bhī ḳhush rahtā sadā naam bhī ūñchā hotā
Top Urdushayar.com