chup baiThā maiñ kyā kyā sochtā rahtā huuñ
āḳhir maiñ kyuuñ itnā tanhā tanhā huuñ
pahroñ jin kī jhiil meñ khoyā rahtā huuñ
un āñkhoñ kī yaad meñ Duubā rahtā huuñ
tum jo bāteñ bhuul chuke ho muddat se
maiñ to un meñ ab bhī uljhā rahtā huuñ
tum badlo to badlo apnī raah magar
maiñ to ek Dagar par chaltā rahtā huuñ
sāda-pan kuchh nekī hī kā naam nahīñ
dekhne meñ to maiñ bhī sīdhā-sāda huuñ
tere ghar bhī pahuñchā hai ye shor kabhī
yā maiñ hī anjān sadā.eñ suntā huuñ
ghar kī dīvāroñ meñ yuuñ dil-tañg na ho
DhūñD mujhe maiñ is ghar kā darvāza huuñ
kyā kahiye ye kaise zamīñ hamvār huī
is sahrā meñ kaise paanī laayā huuñ
jis ne pyaar se dekhā us ke saath huā
sach pūchho to maiñ bhī ab tak bachcha huuñ
'anjum' maiñ kyuuñ duniyā par ilzām rakhūñ
āñkheñ haiñ to phir kyuuñ Thokar khātā huuñ