koī sadā na duur talak naqsh-e-pā koī
vo moḌ hai ki miltā nahīñ rāstā koī
haañ dil kī dhaḌkanoñ se sadā chhīn lo magar
chup-chāp hī jo aa ke yahāñ bas gayā koī
maanā ki tere dar pe jhukīñ aa ke manzileñ
par ham sā bhī milā tujhe sach sach batā, koī
dil kī zabāñ bahut hai koī ho jo ahl-e-dil
hoñToñ se kyā batā.e bhalā mudda.ā koī
āñkheñ jo band kiiñ to vo ubhre haiñ āftāb
bāhar kī dhuup se na rahā vāsta koī
hairān ho ke dil se ye pūchhā nigāh ne
kyā vāqa.ī milā na tujhe āshnā koī
yā āsmān tak nahīñ jaatī mirī navā
yā āsmāñ pe suntā nahīñ hai navā koī
jitne ḳhayāl utne hī rañgoñ ke dā.ere
miltā nahīñ kisī se kahīñ silsila koī
us sāda-dil ko kyā ḳhabar is ūñch-nīch kī
'anjum' ke paas jā ke bane kyā baḌā koī