vo bevafā koī dam aur jo Thahar jaatā
rah-e-talab meñ ye dil yuuñ na dar-ba-dar jaatā
tirī galī meñ fasāne bikherne ke liye
ye lāzmī thā ki ham sā hī be-ḳhatar jaatā
tujh ajnabī kā ho kyā ġham ki is añdhere meñ
maiñ apne-āp ko ḳhud dekhtā to Dar jaatā
tumhārī bandish-e-ādāb se nazar jaagī
maiñ be-ḳhabar to yūñhī raah se guzar jaatā
mujhī meñ ho na kisī aañch kī kamī varna
koī suḳhan to tirī ruuh tak utar jaatā
koī nigāh to hotī sukūñ-shanās kabhī
koī nafas to kisī moḌ par Thahar jaatā
vo bū-e-gul hai to ham mauja-e-sabā 'anjum'
vo ham se bach ke chalā thā magar kidhar jaatā