merī har soch meñ poshīda kahānī us kī
sach batā.ūñ to huuñ ḳhud maiñ bhī nishānī us kī
us ko isrār ki nazdīk na aa.uuñ us ke
mujh pe kuchh aisā fusūñ ek na maanī us kī
mujh se miltā hai to yuuñ jaise na ho muñh meñ zabāñ
aur mahfil meñ koī dekhe ravānī us kī
ghar tirā laakh purānā sahī lekin 'anjum'
dekh tasvīr na ho jaa.e purānī us kī