qarīb aa ki ḳhazāna huuñ la.al-o-gauhar kā
hazār ret sahī ret huuñ samundar kā
khilā hai phuul bahut roz meñ muqaddar kā
bas ab na band ho darvāza tere mandar kā
ye rāhe-gāhe kā milnā bhī koī milnā hai
jo ho sake to pata dījiye kabhī ghar kā
tamām-shahr hai hañgāma-e-nashāt meñ gum
magar ye karb ye sannāTā mere andar kā
sadā kisī kī ho aatā hai apne-āp se ḳhauf
maiñ vo ġharīb ki ghar kā rahā na bāhar kā
kabhī na khul ke hañsā huuñ na royā jī-bhar ke
rakhā hai maiñ ne hamesha qadam barābar kā
kabhī kabhī kā ho qissa to koī dukh bhī sune
uThā.e bojh bhalā kaun zindagī-bhar kā
gurez hai use merī galī se yuuñ jaise
yahāñ jo aayā to ho jā.egā vo patthar kā
asīr-e-dām fareb-e-zabāñ huā āḳhir
na e'tibār jise aayā dīda-e-tar kā
ġham-e-zamāna hai vo teġh-e-tishna-kām 'anjum'
uḌe haiñ paañv agar vaar bach gayā sar kā