kyā ravish rakkhī hai phir aap ne auroñ ke liye
gar yahī tarz-e-mulāqāt hai apnoñ ke liye
rasm-e-ulfat bhī agar aap ke ādāb meñ hai
to uThā rakkhī hai vo kaun se vaqtoñ ke liye
jaan kā rog banā lī jo mohabbat ham ne
ab vo sunte haiñ ki tafrīh hai logoñ ke liye
terī bāteñ ye tirā harf-e-tasallī jaise
sāmne rakh de khilaune koī bachchoñ ke liye
kabhī aalam thā ki har ḳhat thā tirā dīda-e-tar
rah ga.e ab to ye aurāq havāloñ ke liye
mere chehre pe ho kyuuñ rañg-e-shikāyat 'anjum'
mere dāman kā har ik taar hai yāroñ ke liye