Anwar Anjum

jahan-bhar se na yun mera tazkira kije

Anwar Anjum

Delhi, India

1942-1967
jahān-bhar se na yuuñ merā tazkira kiije
maiñ dil kā raaz huuñ dil se mirā gila kiije
ye kyā yaqīñ ki samajh legā har ishāra vo
laboñ kā farz nigāhoñ se kyuuñ adā kiije
nasīb meñ jo kabhī sub.h kā ujālā ho
to mil hī jā.egā har raat kyā duā kiije
ḳhulūs ko bhī yahāñ maslahat kaheñge log
bhalā yahī hai kisī se na jo bhalā kiije
dar-e-havas pe hai har-lahza ik na.ī dastak
jo ḳhud se chhupte na phirye to aur kyā kiije
ye jī meñ hai ki tirā but tarāsh kar barsoñ
tire huzūr khaḌe arz-e-mudda.ā kiije
tumhāre haal se ham be-ḳhabar nahīñ 'anjum'
par ab batāo ki kyā rañj ke sivā kiije
Top Urdushayar.com