Masoom Ansari

main bhi kya karta ki isko bewafa hona hi tha

Masoom Ansari

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1949
maiñ bhī kyā kartā ki is ko bevafā honā hī thā
zindagī ko ek din mujh se judā honā hī thā
har duā ko mere haq meñ bad-duā honā hī thā
ab kisī se kyā gila jo kuchh huā honā hī thā
apne be-ta.abīr ḳhvāboñ kī jalan kis se kahūñ
is gulābī shahr ko ātish-kada honā hī thā
phir bhī paanī kī mujhe qīmat adā karnī paḌī
mere lab par tishnagī kā zā.iqa honā hī thā
maut ke be-rahm hāthoñ ko bahāne kī talāsh
zindagī ke saath koī hādisa honā hī thā
maiñ bahut hassās huuñ is meñ kisī kā kyā qusūr
aa.ina ban kar mujhe sañg-āshnā honā hī thā
maiñ ne apne saare nāḳhun kaaT Daale the magar
zaḳhm ko 'ma.asūm' dobāra harā honā hī thā
Top Urdushayar.com